“Muh ke chaalon ne khana-peena kar diya haraam? Kuch din mein ghaav bharega ye desi nuskha."
Agar muh mein chaalay nikal aayein toh khana peena mushkil ho jata hai. Yahan tak ke bolne mein bhi dushwari hoti hai aur dard bhi kaafi hota hai. Muh mein chaalay pait ki garmi se nikalte hain. Yani inka seedha connection shakhs ke pait se hota hai. Agar pait theek se saaf na ho, tab bhi aisa masla ho jata hai. Iske ilawa, allergy ki wajah se bhi muh mein chaalay nikal aate hain.
Muh ke chaalon ka gharelu ilaj kya hai? agar waqt par inka ilaj nahi kiya gaya toh yeh chaalay ghaav ban sakte hain jo aur bhi dardnaak ho sakte hain. Muh mein nikalne wale in chaalon ke liye kai dawaaiyan aapko mil jayengi. Halanki kai dafa dawai ka asar khatam hote hi yeh chaalay dobara hone lagte hain.
Agar aapko bhi aisi hi pareshaani baar baar ho rahi hai, toh yahan hum aapko is pareshani se nipatne ka ek gharelu nuskha batayenge. Aapke ghar ke kitchen mein ek aisi cheez hai jo aapke muh ke chaalon ko jad se khatam kar sakti hai. Yahan hum baat kar rahe hain Gudh ki. Gudh khane ke ek nahi balki kai faide hote hain. Aaiye aapko tafseel se batate hain.
Gudh mein antioxidants ke ilawa aur bhi kai fayde milte hain jo hamare jism ko mazboot banate hain. Desi gur aapko aasani se kahin bhi mil jayega. Agar aapko baar baar muh mein chaalay nikal rahe hain, toh desi gudh ka chhota tukda aapko is pareshani se chutkara dilaa sakta hai. Aam tor par dawaaiyon se chaalay kam se kam 3 se 4 din mein theek hote hain, lekin is gharelu nuskhe se aapko 1 ya 2 din mein hi rahat mil sakti hai.
Desi gudh, yani bina masalay wala gudh, aapke muh ke chaalon ko jad se khatam kar sakta hai, lekin isay khane ka sahi tareeqa janna zaroori hai. Gudh ke ek chhote se tukde ko aap apne muh mein rakh kar dheere dheere choosein. Dhyan rakhiye ke aapko gudh ko sirf choosna hai, ise nigalna ya chabana nahi hai. 10 se 15 minute mein yeh aapke muh mein hi ghul jayega. Raat ko khana khane ke kam se kam 15 minute baad aap is desi gudh ka istemal kar sakte hain.
Agar aapka pait saaf nahi hota hai aur aapke pait mein zyada gas banti hai, toh aapko is desi gudh se kaafi faida ho sakta hai. Ise khane se aapke hazme mein sudhaar aayega aur pait se judi kai pareshani se aapko chutkara milega.
Khana khate waqt agar aapko nigalne mein pareshani hoti hai toh yeh khane ki nali mein zakham ki wajah se ho sakta hai. Desi gudh se aapka yeh ghaav bhi bhar sakta hai aur aap bina kisi pareshani ke apna khana aasani se nigal sakte hain.
Disclaimer: Yeh baaten sirf aam maloomat ke liye bahayn ki jarahi hain. Diabetes ya kisi bhi marz wale log pehle doctor se consult karen. Zyada maloomat ke liye hamse raabta kar sakten.