icon

Natural & authentic herbs use in each Islahi Wellness product that make us unique.

Our products have been successful in helping millions of people cope and get better, naturally. Islahi Wellness Products has been licensed and approved by Drug Licensing Authority, Directorate of Indian Systems of Medicine and Unanipathy the nodal department of the Government of India.

+91- 996 75 52 866

C7 Dawrika Puri Bldg.,
LBS Marg, Kurla West,
Mumbai 400070
India

What is Constipation?

What is constipation

Samajna Asaan Bachna Usse Bhi Asaan

The findings suggest that 22% of the adult Indian population is suffering from the condition, with 13% complaining of severe constipation. 6% of the Indian population suffer from constipation associated with certain comorbidities. *Link*

Qabz(constipation) us waqt hota hai jab apki aanten(intestine) kisi waja se kafi slow movement karen aur paikhana(stool) kafi mushkil se kharij ho ya bikul bhi na ho. 
Waise agar ye halat mahine ya saal main kabhi ho to usse bimari ke zamreh(category) main nahi rakhna chahiye. Hame jism ka ek usool(rule) samjh lena chahiye. Agar hamare pet main roz giza jarahi hai to paikhana bhi hona zarori hai. 
Agar qabz ki shikayat ek hafte se zada to usse lifestyle main changes kerke thik kiya jasakta hai. Agar takleef bohat dino se hai to kuch waja ho sakti hain.

Cause(waja):

  • Zindagi ke tareeqe main badlao(Life Style Changes): Paikhana dheema guzarta hai jab shakhs munasib miqdaar mein pani nahi peeta. Kaafi miqdaar mein reshedar giza(fiber food) nahi khata. Baqaidgi(daily) se exercise nahi karta. Paikhana kharij kerne ki zarurat mehsoos hone per bhi toilet ka istemal nahi karta.
  • Dawaain(Medication): Qabz kuch dawaon ke side effect se bhi ho sakti hai, khaaskar pain relievers, High blood pressure, Seizures, Depression, Nervous system ke disorders, Allergies wagaira ki dawaon ka side effect qabz ki surat main nazar aate hain.
  • Pelvic floor problem (pathon ke masail) Wo pathay jo jism ke neeche organs ko sambhalte hain unhe pelvic floor muscles kehte hain. In pathon ka relax hona aur zor lagana paikhana nikalne ke liye zaroori hai. In pathon ki kamzori ya coordination ke masail chronic qabz ka sabab ban sakte hain.
  • Colon ya rectum mein blockage Colon ya rectum ke tissues ko nuksan ya tabdeelion se paikhana guzarne mein rukawat paida ho sakti hai. Is ke ilawa, colon, rectum ya qareebi tissues mein tumors bhi blockage ka sabab ban sakta hai.
  • Digar Wajuhat(Other Factor)  Chronic qabz ka taluq kisi bhi cheez se ho sakta hai, jinmein shamil hain: Irritable bowel syndrome, Diabetes, Multiple sclerosis, Nerve dysfunction ya damage, Hyperthyroidism, Parkinson’s disease, Buzurg hona, Mental health ki condition, jaise ke depression ya eating disorder wagaira.

Symptoms(Alamat):

  • Haftay mein panch (5) se kam paikhana aana.
  • Sakht aur khushk paikhana.
  • Paikhana nikalte waqt zor lagana ya dard hona.
  • Yeh mehsoos karna ke sara paikhana nahi nikla.
  • Yeh mehsoos karna ke rectum block hai.
  • Paikhana nikalne ke liye Enema ka istemal karna.

Chronic qabz kai pechida bimariyon ka sabab ban sakta hai. Yahaan kuch haalaat diye gaye hain jo lambay arsay tak qabz rehne ke nateeja mein paida ho sakte hain:

  1. Hemorrhoids
  2. Anal Fissures
  3. Rectal Prolapse
  4. Diverticulosis and Diverticulitis
  5. Fecal Impaction
  6. Megacolon
  7. Rectocele
  8. Urinary Retention and Urinary Tract Infections (UTIs)
  9. Colorectal Cancer
  10. Pelvic Floor Dysfunction

Herbal Treatment(Jadi Bitiyun se Ilaaj):

Single Herbs:
  • Psyllium Husk (Isabgol)

Kaise kaam karta hai: Ek qudrati fiber supplement jo pani jazb karta hai aur paikhana ko bhari kerta hai, jise nikalna asaan hota hai. Istemaal: Psyllium husk powder ko pani ya juice mein mila kar piya jata hai.

  • Senna (Senna Makki)

Kaise kaam karta hai: Ismein sennosides naam ke compounds hote hain jo paikhana nikalne mein madadgar hote hain. Istemaal: Yeh chai, capsule, aur tablet ki shakal mein dastiyab hai, magar zada istemal nahi kerna chahiye.

  • Aloe Vera (Gheekwar)

Kaise kaam karta hai: Ismein anthraquinones hote hain jo laxative asar rakhte hain. Istemaal: Aloe vera juice ko piya ja sakta hai, lekin dosage instructions ka ehtiyaat se palan karna zaroori hai.

  • Flaxseed (Alsi)

Kaise kaam karta hai: Fiber aur omega-3 fatty acids se bharpoor, yeh paikhana ko narm karta hai aur regularity ko promote karta hai. Istemaal: Flaxseed ko smoothies, cereals, ya yogurt mein daal kar khaya ja sakta hai.

  • Castor Oil (Aarandi Oil)

Kaise kaam karta hai: Ek stimulant laxative jo paikhana nikalne mein madad karta hai. Istemaal: Castor oil 10ml se zada nahi lena chahiye warna nausea hone ka chance rehta hai. Iska mustaqil istemal bhi thik nahi zada istemal se intestine muscles weak hoti hain.

  • Ginger (Adrak)

Kaise kaam karta hai: Haazmi nizaam ko stimulate karne aur bowel movement ko behtar banane mein madad karta hai. Istemaal: Ginger chai ke tor par piya ja sakta hai ya food mein mila sakta hai.

Compound Unani Formulation
  • Itrifal Mulayyan: Ye ek qudrati jari bootiyaon ka Majoon(chawanparash) hai jo sir dard, migraine aur chronic qabz ke ilaj mein istemal hota hai. Sugar ke patient ke liye iski tablet bhi available hain. Doses: physician se pooch ker istemal karen.
  • Itrifal Muqil: Ye Qabz shadeed ke saat saat bawaseer main bhi mufeed hai. Sugar ke patient ke liye iski tablet bhi available hain. Doses: physician se pooch ker istemal karen.
  • Qurs Tinkar: Yeh ek effective laxative aur purgative hai. Yeh khaaskar qabz ke liye ek mufeed ilaj hai. Yeh pait ki bhari pan ko bhi door karta hai. Doses: physician se pooch ker istemal karen.
  • Majoon Hamal Gulqand Wali: Doran-e-Hamal (during pregnancy)  aurton main akser qabz ki shikat hoti hai, ye majoon khas ker ke ushi waqt main istemal karaya jata hai kafi mufeed sabit hota hai. Doses: physician se pooch ker istemal karen.
  • Jawarish Zanjabeel: Ye majoon qabz ko khatam kerke bhook ko behtar banata hai, haazmi nizaam ko stimulate karta hai aur pait ke gas ko door karta hai. Doses: physician se pooch ker istemal karen.

     

    Unani main aur bhi bohat se Majoon, Tablets, Powder wagaira available hain jinke istemal se Qabz(constipation) ke marz ko mukammal khatam kiya jasakta hai. Iske liye kisi ache Unani Hakim(doctor) se contact karen. 
Down Banner

Leave a Reply